maine pai nahin jine ki saza kaun se din
maiñ ne paa.ī nahīñ jiine kī sazā kaun se din
mujh ko aaya nahīñ marne kā mazā kaun se din
raas aa.ī mujhe furqat kī havā kaun se din
maiñ ne māñgī nahīñ marne kī du'ā kaun se din
kab harī hogī tamannāoñ kī khetī yā-rab
chhā.egī jhuum ke rahmat kī ghaTā kaun se din
hai yahī vaqt karam kā ki huuñ ḳhud se bezār
kaam aa.egī tirī shān-e-atā kaun se din
kis liye toḌ diyā aasrā tum ne dil kā
maiñ ne chāhā thā vafāoñ kā sila kaun se din
ā.eñge jab mire pahlū meñ vo sharmā.e hue
vo ghaḌī aa.egī ai mere ḳhudā kaun se din
maiñ to tayyār huuñ miTne ko tum āvāz to do
āzmāoge tum ab merī vafā kaun se din
mujh ko khichvā.egī kab daar pe vahshat 'sāhir'
pā.ūñgā apnī mohabbat kā sila kaun se din
main ne pai nahin jine ki saza kaun se din
mujh ko aaya nahin marne ka maza kaun se din
ras aai mujhe furqat ki hawa kaun se din
main ne mangi nahin marne ki du'a kaun se din
kab hari hogi tamannaon ki kheti ya-rab
chhaegi jhum ke rahmat ki ghaTa kaun se din
hai yahi waqt karam ka ki hun KHud se bezar
kaam aaegi teri shan-e-ata kaun se din
kis liye toD diya aasra tum ne dil ka
main ne chaha tha wafaon ka sila kaun se din
aaenge jab mere pahlu mein wo sharmae hue
wo ghaDi aaegi ai mere KHuda kaun se din
main to tayyar hun miTne ko tum aawaz to do
aazmaoge tum ab meri wafa kaun se din
mujh ko khichwaegi kab dar pe wahshat 'sahir'
paunga apni mohabbat ka sila kaun se din
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.