maine pahlu mein use aise biTha rakkha hai
maiñ ne pahlū meñ use aise biThā rakkhā hai
jis tarah chāñd ko bāñhoñ meñ chhupā rakkhā hai
dekh ke us pe 'ināyat ye sabhī kahte haiñ
tū ne us ko to baḌā sar pe chaḌhā rakkhā hai
dilkashī kyoñ na nazar aa.e mire chehre par
taaj chāhat kā mire sar pe sajā rakkhā hai
vo tabī'at kā zarā ek alag banda hai
ek duniyā se use maiñ ne bachā rakkhā hai
kyūñkar aa.egī ye poshāk mirī sab ko pasand
is meñ to 'ishq kā paivand lagā rakkhā hai
'nāz' kartā thā mire ghar meñ jo jalne pe kabhī
baam kā vo bhī diyā maiñ ne bujhā rakkhā hai
main ne pahlu mein use aise biTha rakkha hai
jis tarah chand ko banhon mein chhupa rakkha hai
dekh ke us pe 'inayat ye sabhi kahte hain
tu ne us ko to baDa sar pe chaDha rakkha hai
dilkashi kyon na nazar aae mere chehre par
taj chahat ka mere sar pe saja rakkha hai
wo tabi'at ka zara ek alag banda hai
ek duniya se use main ne bacha rakkha hai
kyunkar aaegi ye poshak meri sab ko pasand
is mein to 'ishq ka paiwand laga rakkha hai
'naz' karta tha mere ghar mein jo jalne pe kabhi
baam ka wo bhi diya main ne bujha rakkha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.