maine puchha KHushi mili ki nahin
maiñ ne pūchhā ḳhushī milī ki nahīñ
chīḳh kar bolī zindagī ki nahīñ
dar pe ik aarzū rakh aaya thā
vo abhī tak tumheñ milī ki nahīñ
aa.ina to jhaTak diyā tum ne
us kī jhankār bhī sunī ki nahīñ
kab se rakkhā huuñ maiñ dukāñ pe terī
koī qīmat mirī lagī ki nahīñ
itnā nashsha tumhārī āñkhoñ meñ
sach batānā kabhī chhuī ki nahīñ
kitne jhūToñ meñ sach ko rakkhā hai
baat phir bhī koī banī ki nahīñ
muddatoñ se marā paḌā huuñ maiñ
nabz dekho abhī thamī ki nahīñ
main ne puchha KHushi mili ki nahin
chiKH kar boli zindagi ki nahin
dar pe ek aarzu rakh aaya tha
wo abhi tak tumhein mili ki nahin
aaina to jhaTak diya tum ne
us ki jhankar bhi suni ki nahin
kab se rakkha hun main dukan pe teri
koi qimat meri lagi ki nahin
itna nashsha tumhaari aankhon mein
sach batana kabhi chhui ki nahin
kitne jhuTon mein sach ko rakkha hai
baat phir bhi koi bani ki nahin
muddaton se mara paDa hun main
nabz dekho abhi thami ki nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.