maine puchha tha ki barish bhi kahin hoti hai
maiñ ne pūchhā thā ki bārish bhī kahīñ hotī hai
khol ke zulf vo bole ki yahīñ hotī hai
ek chehra hai jise dekh nahīñ paatā huuñ
haar aisī hai ki bardāsht nahīñ hotī hai
DhūñDhnā ham ko vahīñ us ne jahāñ chhoḌā ho
us kī rakkhī huī har chiiz vahīñ hotī hai
ham masīhā the sabhī ke so rahe tanhā ham
camere kī koī tasvīr kahīñ hotī hai
ḳhvāhisheñ aap kī duckworth lewis jaisī haiñ
dil-e-nādāñ ko samajh is kī nahīñ hotī hai
main ne puchha tha ki barish bhi kahin hoti hai
khol ke zulf wo bole ki yahin hoti hai
ek chehra hai jise dekh nahin pata hun
haar aisi hai ki bardasht nahin hoti hai
DhunDhna hum ko wahin us ne jahan chhoDa ho
us ki rakkhi hui har chiz wahin hoti hai
hum masiha the sabhi ke so rahe tanha hum
camere ki koi taswir kahin hoti hai
KHwahishen aap ki duckworth lewis jaisi hain
dil-e-nadan ko samajh is ki nahin hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.