maine rahat ka Thikana ab talak paya nahin
maine rahat ka Thikana ab talak paya nahin
Syed Mahmood Alam Rahbar
MORE BYSyed Mahmood Alam Rahbar
maiñ ne rāhat kā Thikāna ab talak paayā nahīñ
dhuup kī bārish hai lekin duur tak saaya nahīñ
pī liyā jām-e-shahādat saare ahl-e-bait ne
par yazīdī lashkaroñ ko rahm tak aayā nahīñ
faqr bhī dekheñ zarā ḳhātūn-e-jannat kā janāb
apne kāmoñ ke liye rakkhā koī daaya nahīñ
vo bhaTakte haiñ jahālat ke añdheroñ meñ yahāñ
paas jin ke ilm kā thoḌā bhī sarmāya nahīñ
apne rab se ho mohabbat ye bhī kahtī hai hadīs
aap ne is baat par to ġhaur farmāyā nahīñ
apne sab a.amāl kā mahshar meñ duniyā hai javāb
ham ne rahbar aaj tak is baat ko sochā nahīñ
main ne rahat ka Thikana ab talak paya nahin
dhup ki barish hai lekin dur tak saya nahin
pi liya jam-e-shahadat sare ahl-e-bait ne
par yazidi lashkaron ko rahm tak aaya nahin
faqr bhi dekhen zara KHatun-e-jannat ka janab
apne kaamon ke liye rakkha koi daya nahin
wo bhaTakte hain jahaalat ke andheron mein yahan
pas jin ke ilm ka thoDa bhi sarmaya nahin
apne rab se ho mohabbat ye bhi kahti hai hadis
aap ne is baat par to ghaur farmaya nahin
apne sab aamal ka mahshar mein duniya hai jawab
hum ne rahbar aaj tak is baat ko socha nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.