maine rakkha hai jise aankh mein duniya kar ke
maiñ ne rakkhā hai jise aañkh meñ duniyā kar ke
mujh ko ik roz chalā jā.egā tanhā kar ke
mere hone kā tasavvur hī mujhe de detā
vo jo baiThā hai mirī zaat pe qabza kar ke
maiñ ne sochā hai use gift meñ āñkheñ dūñgā
us ne sochā hai mujhe jā.egā andhā kar ke
zāviya us kā mirā ek nahīñ ho saktā
dekhtā hai vo mujhe aa.ina tirchhā kar ke
is liye bhī maiñ amīroñ ko nahīñ pūchhūñgā
aa to jā.eñge magar ā.eñge naḳhra kar ke
merā is mar chuke insān se rishta to nahīñ
phir bhī behtar hai ki ghar jā.ūñ maiñ tiijā kar ke
maiñ ki bad-kār tirā dhyān nahīñ rakh paatā
tū ki rakh de hai mirī zaat munazzah kar ke
us ne 'shāriq' se bahut duur basā.ī duniyā
sochā mar jā.egā is baat pe chintā kar ke
main ne rakkha hai jise aankh mein duniya kar ke
mujh ko ek roz chala jaega tanha kar ke
mere hone ka tasawwur hi mujhe de deta
wo jo baiTha hai meri zat pe qabza kar ke
main ne socha hai use gift mein aankhen dunga
us ne socha hai mujhe jaega andha kar ke
zawiya us ka mera ek nahin ho sakta
dekhta hai wo mujhe aaina tirchha kar ke
is liye bhi main amiron ko nahin puchhunga
aa to jaenge magar aaenge naKHra kar ke
mera is mar chuke insan se rishta to nahin
phir bhi behtar hai ki ghar jaun main tija kar ke
main ki bad-kar tera dhyan nahin rakh pata
tu ki rakh de hai meri zat munazzah kar ke
us ne 'shaariq' se bahut dur basai duniya
socha mar jaega is baat pe chinta kar ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.