maine roka bahut par gae sab ke sab
maiñ ne rokā bahut par ga.e sab ke sab
jaane phir kyā huā Dar ga.e sab ke sab
dost kyā ab to dushman bhī mafqūd haiñ
baat kyā hai kahāñ mar ga.e sab ke sab
har-qadam par zamāna muḳhālif rahā
kaam apnā magar kar ga.e sab ke sab
din meñ sūraj ke the ham-safar din Dhale
le ke māyūsiyāñ ghar ga.e sab ke sab
peḌ sūkhe the qudrat bhī thī mehrbāñ
aaj phal-phūl se bhar ga.e sab ke sab
kyā ḳhatā thī kisī ne batāyā nahīñ
mujh pe ilzām kyuuñ dhar ga.e sab ke sab
aap tanhā bache haiñ mirī bazm meñ
varna 'jāved'-aḳhtar ga.e sab ke sab
main ne roka bahut par gae sab ke sab
jaane phir kya hua Dar gae sab ke sab
dost kya ab to dushman bhi mafqud hain
baat kya hai kahan mar gae sab ke sab
har-qadam par zamana muKHalif raha
kaam apna magar kar gae sab ke sab
din mein suraj ke the ham-safar din Dhale
le ke mayusiyan ghar gae sab ke sab
peD sukhe the qudrat bhi thi mehrban
aaj phal-phul se bhar gae sab ke sab
kya KHata thi kisi ne bataya nahin
mujh pe ilzam kyun dhar gae sab ke sab
aap tanha bache hain meri bazm mein
warna 'jawed'-aKHtar gae sab ke sab
- Book : Neend Shart Nahin (Pg. 121)
- Author : Khawaja Jawed Akhtar
- Publication : Shabkhoon Kitabghar Allahabad (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.