maine socha hai ki ab tark-e-tamanna kar lun
maiñ ne sochā hai ki ab tark-e-tamannā kar luuñ
zindagī jaise guzartī hai gavārā kar luuñ
laakh tūfān uTheñ laakh kināre Dūbeñ
apnī TuuTī huī kashtī pe bharosā kar luuñ
havas-e-shauq na taḌpā.e nigāh-o-dil ko
terī duniyā se bahut duur baserā kar luuñ
bujhte jaate haiñ sar-e-shām umīdoñ ke charāġh
kis kī yādoñ se dil-o-jāñ meñ ujālā kar luuñ
kaun mere liye tanvīr liye aa.egā
kis bharose pe sar-e-shām añdherā kar luuñ
apnī vīrāni-e-dil dekh ke jī chāhtā hai
terī bātoñ tirī nazroñ pe bharosā kar luuñ
main ne socha hai ki ab tark-e-tamanna kar lun
zindagi jaise guzarti hai gawara kar lun
lakh tufan uThen lakh kinare Duben
apni TuTi hui kashti pe bharosa kar lun
hawas-e-shauq na taDpae nigah-o-dil ko
teri duniya se bahut dur basera kar lun
bujhte jate hain sar-e-sham umidon ke charagh
kis ki yaadon se dil-o-jaan mein ujala kar lun
kaun mere liye tanwir liye aaega
kis bharose pe sar-e-sham andhera kar lun
apni virani-e-dil dekh ke ji chahta hai
teri baaton teri nazron pe bharosa kar lun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.