maine socha tha kya aur kya ho gaya
maiñ ne sochā thā kyā aur kyā ho gayā
saath mere nayā hādisa ho gayā
chheḌ diiñ us kī bāteñ kisī ne yahāñ
zaḳhm koī purānā harā ho gayā
ġhair mujh se mire apne jab se hue
dushmanoñ se mirā rābta ho gayā
roz ik moḌ par miltā thā mujh se jo
us kā dīdār karnā sazā ho gayā
ishq karne kā sochā nahīñ thā magar
ishq meñ phir se dil mubtalā ho gayā
jis ko ḳhud bhī nahīñ rāste kā pata
shaḳhs aisā mirā rahnumā ho gayā
mere is dil pe ab umr-bhar ke liye
jaane vaale tirā naqsh-e-pā ho gayā
main ne socha tha kya aur kya ho gaya
sath mere naya hadisa ho gaya
chheD din us ki baaten kisi ne yahan
zaKHm koi purana hara ho gaya
ghair mujh se mere apne jab se hue
dushmanon se mera rabta ho gaya
roz ek moD par milta tha mujh se jo
us ka didar karna saza ho gaya
ishq karne ka socha nahin tha magar
ishq mein phir se dil mubtala ho gaya
jis ko KHud bhi nahin raste ka pata
shaKHs aisa mera rahnuma ho gaya
mere is dil pe ab umr-bhar ke liye
jaane wale tera naqsh-e-pa ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.