maine socha tha mujhe mismar kar sakta nahin
maiñ ne sochā thā mujhe mismār kar saktā nahīñ
'aks to mujh par palaT kar vaar kar saktā nahīñ
aa.ina zāhir to kar saktā hai ḳhadd-o-ḳhāl ko
aa.ina ehsās kā iz.hār kar saktā nahīñ
merī chāhat aur hai mere masā.il aur haiñ
ḳhud ko maiñ har baat par tayyār kar saktā nahīñ
ḳhud se samjhautā kiyā hai zindagī ke naam par
is se baḌh kar zindagī ko pyaar kar saktā nahīñ
yā to apne jism kī had se nikalnā chhoḌ de
saaya hai to dhuup se inkār kar saktā nahīñ
kashtiyāñ bhī chāhiye aur nāḳhudā bhī chāhiye
tū samundar tair kar to paar kar saktā nahīñ
is se behtar hai ki ye azm-e-safar hī chhoḌ de
rāste ko tū agar hamvār kar saktā nahīñ
main ne socha tha mujhe mismar kar sakta nahin
'aks to mujh par palaT kar war kar sakta nahin
aaina zahir to kar sakta hai KHadd-o-KHal ko
aaina ehsas ka izhaar kar sakta nahin
meri chahat aur hai mere masail aur hain
KHud ko main har baat par tayyar kar sakta nahin
KHud se samjhauta kiya hai zindagi ke nam par
is se baDh kar zindagi ko pyar kar sakta nahin
ya to apne jism ki had se nikalna chhoD de
saya hai to dhup se inkar kar sakta nahin
kashtiyan bhi chahiye aur naKHuda bhi chahiye
tu samundar tair kar to par kar sakta nahin
is se behtar hai ki ye azm-e-safar hi chhoD de
raste ko tu agar hamwar kar sakta nahin
- Book : Bechehragi (Pg. 115)
- Author : bharat bhushan pant
- Publication : Suman prakashan Alambagh,Lucknow (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.