maine teri basti ke ye dekhe hain nazare
maiñ ne tirī bastī ke ye dekhe haiñ nazāre
mahuve ke daraḳhtoñ se Tapakte haiñ sitāre
rahne de isī tarh falak ke ye nazāre
dāman pe chhiTak yuuñ ki bikhar jaa.eñ sitāre
maujoñ kī ravānī meñ tujhe dekh rahā huuñ
baiThā huuñ baḌī der se dariyā ke kināre
baḌh jā.egī do chaar baras aur mirī 'umr
do chaar ghaḌī tū jo mire saath guzāre
tum kaise sapere ho na mantar hai na tiryāq
jholī meñ liye phirte ho sāñpoñ ke piTāre
ham toḌ chuke haiñ jise be-kār samajh kar
dīvār khaḌī thī unhīñ īñToñ ke sahāre
itnā to batānā ki namāzī bhī koī hai
ūñche haiñ tire gaañv kī masjid ke manāre
allāh bhī razzāq hai banda bhī saḳhī hai
mar jaate haiñ 'irfān' bahut bhuuk ke maare
main ne teri basti ke ye dekhe hain nazare
mahuwe ke daraKHton se Tapakte hain sitare
rahne de isi tarh falak ke ye nazare
daman pe chhiTak yun ki bikhar jaen sitare
maujon ki rawani mein tujhe dekh raha hun
baiTha hun baDi der se dariya ke kinare
baDh jaegi do chaar baras aur meri 'umr
do chaar ghaDi tu jo mere sath guzare
tum kaise sapere ho na mantar hai na tiryaq
jholi mein liye phirte ho sanpon ke piTare
hum toD chuke hain jise be-kar samajh kar
diwar khaDi thi unhin inTon ke sahaare
itna to batana ki namazi bhi koi hai
unche hain tere ganw ki masjid ke manare
allah bhi razzaq hai banda bhi saKHi hai
mar jate hain 'irfan' bahut bhuk ke mare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.