maine tujhe tujhse kabhi haT kar nahin dekha
maiñ ne tujhe tujh se kabhī haT kar nahīñ dekhā
jo kuchh bhī huā us ko palaT kar nahīñ dekhā
jab se ki nigāhoñ meñ basī hai tirī sūrat
qur.ān ke aurāq ulaT kar nahīñ dekhā
rātoñ ko añdhere hī nigahbān the tere
tujh ko tirī nīñdoñ ne uchaT kar nahīñ dekhā
me.aar kā qīmat kā kahāñ us ko pata ho
jis maal ne ḳhairāt meñ baT kar nahīñ dekhā
ik chiiz samundar hai magar tū ne kabhī bhī
maujoñ kī ravānī se lipaT kar nahīñ dekhā
ik qādrī rutba hai 'jamīl' apne liye bhī
ḳhud ko kisī andāz se ghaT kar nahīñ dekhā
main ne tujhe tujh se kabhi haT kar nahin dekha
jo kuchh bhi hua us ko palaT kar nahin dekha
jab se ki nigahon mein basi hai teri surat
quran ke auraq ulaT kar nahin dekha
raaton ko andhere hi nigahban the tere
tujh ko teri nindon ne uchaT kar nahin dekha
mear ka qimat ka kahan us ko pata ho
jis mal ne KHairaat mein baT kar nahin dekha
ek chiz samundar hai magar tu ne kabhi bhi
maujon ki rawani se lipaT kar nahin dekha
ek qadri rutba hai 'jamil' apne liye bhi
KHud ko kisi andaz se ghaT kar nahin dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.