maine ye jab suna to mera dil dahal gaya
maiñ ne ye jab sunā to mirā dil dahal gayā
sūraj kā jism aag kī lapToñ se jal gayā
mausam ne aisī aag lagā.ī thī raat meñ
mere badan meñ ḳhuun thā jitnā ubal gayā
sūkhe laboñ kī pyaas bujhāne ke vāste
kal raat chāñd barf kī sūrat pighal gayā
manzar ajab ye dekh ke hairat-zada haiñ phuul
shabnam kā paañv dhuup kī shiddat se jal gayā
ta.abīr kī hatheliyāñ piilī na ho sakīñ
ik ḳhauf mere ḳhvāb ke sar ko kuchal gayā
parchhā.iyoñ ne aks ke kapḌe pahan liye
ā.īna jab se sañg ke paikar meñ Dhal gayā
kaise batā.eñ tujh ko ki terī talāsh meñ
saaya hamāre jism kā paidal nikal gayā
hoñToñ se tere lafzoñ ke bādal baras ga.e
ḳhāmoshiyoñ kā dasht-e-sukūñ thā jo jal gayā
jalte hue charāġh pe juuñ hī nazar paḌī
kuchh sar-phirī havāoñ kā lahja badal gayā
main ne ye jab suna to mera dil dahal gaya
suraj ka jism aag ki lapTon se jal gaya
mausam ne aisi aag lagai thi raat mein
mere badan mein KHun tha jitna ubal gaya
sukhe labon ki pyas bujhane ke waste
kal raat chand barf ki surat pighal gaya
manzar ajab ye dekh ke hairat-zada hain phul
shabnam ka panw dhup ki shiddat se jal gaya
tabir ki hatheliyan pili na ho sakin
ek KHauf mere KHwab ke sar ko kuchal gaya
parchhaiyon ne aks ke kapDe pahan liye
aaina jab se sang ke paikar mein Dhal gaya
kaise bataen tujh ko ki teri talash mein
saya hamare jism ka paidal nikal gaya
honTon se tere lafzon ke baadal baras gae
KHamoshiyon ka dasht-e-sukun tha jo jal gaya
jalte hue charagh pe jun hi nazar paDi
kuchh sar-phiri hawaon ka lahja badal gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.