main nindon ka bahana chahti hun
maiñ nīñdoñ kā bahāna chāhtī huuñ
tire ḳhvāboñ meñ aanā chāhtī huuñ
jise sun kar tū sab kuchh bhuul jaa.e
ġhazal vo gungunānā chāhtī huuñ
na.e lahje meñ tere hai banāvaT
tirā lahja purānā chāhtī huuñ
tirā milnā bahut mushkil hai lekin
maiñ qismat āzmānā chāhtī huuñ
tū hī jaane irāda terā 'zaryāb'
magar maiñ tujh ko paanā chāhtī huuñ
main nindon ka bahana chahti hun
tere KHwabon mein aana chahti hun
jise sun kar tu sab kuchh bhul jae
ghazal wo gungunana chahti hun
nae lahje mein tere hai banawaT
tera lahja purana chahti hun
tera milna bahut mushkil hai lekin
main qismat aazmana chahti hun
tu hi jaane irada tera 'zaryab'
magar main tujh ko pana chahti hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.