main pahli bar is jangal se guzra tha to sab aisa nahin tha
maiñ pahlī baar is jangal se guzrā thā to sab aisā nahīñ thā
yahāñ kuchh kuchh parinde bolne vaale the sannāTā nahīñ thā
mohabbat ne mujhe qaid-e-anāsir se bahut aage bulāyā
magar maiñ apnī miTTī ke shikanje se nikal paayā nahīñ thā
ye tū ne kis liye āñchal pe taaza ḳhvāhishoñ ke phuul kāḌhe
tire pallū se kyā bāñdhā huā vo reshmī vā'da nahīñ thā
ba-qadr-e-ārzū merā samundar se ta'alluq thā na lekin
maiñ uthle pāniyoñ se apnā rishta joḌne vaalā nahīñ thā
mirī taqdīr meñ kuchh sarfarāzī ke hare lamhe likhe the
numū paate hī jo pāmāl ho jaa.e maiñ vo sabza nahīñ thā
ḳhamoshī barf kī mānind hoñToñ par jamī rahtī thī 'yāvar'
gulābī lafz ke bāhar nikalne kā koī rasta nahīñ thā
main pahli bar is jangal se guzra tha to sab aisa nahin tha
yahan kuchh kuchh parinde bolne wale the sannaTa nahin tha
mohabbat ne mujhe qaid-e-anasir se bahut aage bulaya
magar main apni miTTi ke shikanje se nikal paya nahin tha
ye tu ne kis liye aanchal pe taza KHwahishon ke phul kaDhe
tere pallu se kya bandha hua wo reshmi wa'da nahin tha
ba-qadr-e-arzu mera samundar se ta'alluq tha na lekin
main uthle paniyon se apna rishta joDne wala nahin tha
meri taqdir mein kuchh sarfaraazi ke hare lamhe likhe the
numu pate hi jo pamal ho jae main wo sabza nahin tha
KHamoshi barf ki manind honTon par jami rahti thi 'yawar'
gulabi lafz ke bahar nikalne ka koi rasta nahin tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.