main pure qad se khaDa hun ab is yaqin ke sath
maiñ puure qad se khaḌā huuñ ab is yaqīn ke saath
nahīñ hai 'ārzī rishta mirā zamīn ke saath
hamārī zaat kī takmīl hone vaalī hai
zarā sā qaaf lagānā hai ‘ain shiin ke saath
yahāñ pe saañp haiñ but haiñ chhurī hai yaar bhī haiñ
'ajīb mela lagā hai ik āstīn ke saath
tum apnī āñkhoñ se dil se to pūchh lo pahle
ki mashvara to zarūrī hai māhirīn ke saath
nazar ko de ke fareb ek parda uThne kā
'ajab mazāq azal se hai nāzirīn ke saath
agar tū phuul se ḳhushbū talak safar kar le
samajhnā 'ishq mukammal hai tere diin ke saath
maiñ be-sabab kabhī royā to ye khulā mujh par
makāñ bhī rote haiñ 'tāhir' kabhī makīn ke saath
main pure qad se khaDa hun ab is yaqin ke sath
nahin hai 'arzi rishta mera zamin ke sath
hamari zat ki takmil hone wali hai
zara sa qaf lagana hai ‘ain shin ke sath
yahan pe sanp hain but hain chhuri hai yar bhi hain
'ajib mela laga hai ek aastin ke sath
tum apni aankhon se dil se to puchh lo pahle
ki mashwara to zaruri hai mahirin ke sath
nazar ko de ke fareb ek parda uThne ka
'ajab mazaq azal se hai nazirin ke sath
agar tu phul se KHushbu talak safar kar le
samajhna 'ishq mukammal hai tere din ke sath
main be-sabab kabhi roya to ye khula mujh par
makan bhi rote hain 'tahir' kabhi makin ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.