main raha umr bhar yahin ka raha
maiñ rahā umr bhar yahīñ kā rahā
maiñ kināroñ pe bhī zamīñ kā rahā
le gayā vaqt terā naqsh kahāñ
jo kahīñ thā na phir kahīñ kā rahā
mere āñgan meñ ik kalī na milī
koī qissa na nāznīñ kā rahā
thā ye tohfa agarche mere liye
terā ḳhanjar to āstīñ kā rahā
terā inkār ḳhāmoshī se huā
bahut isrār phir nahīñ kā rahā
vo jo Thahre kahīñ vahīñ na rahe
merā 'āmir' kahāñ kahīñ kā rahā
main raha umr bhar yahin ka raha
main kinaron pe bhi zamin ka raha
le gaya waqt tera naqsh kahan
jo kahin tha na phir kahin ka raha
mere aangan mein ek kali na mili
koi qissa na naznin ka raha
tha ye tohfa agarche mere liye
tera KHanjar to aastin ka raha
tera inkar KHamoshi se hua
bahut israr phir nahin ka raha
wo jo Thahre kahin wahin na rahe
mera 'amir' kahan kahin ka raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.