main rahunga diye ke sath yahan
maiñ rahūñgā diye ke saath yahāñ
kyā chaleñge havā ke haath yahāñ
koī aahaT sunā.ī detī hai
kaun rahtā hai mere saath yahāñ
marne vaalo palaT ke dekho zarā
kāTtā hai koī hayāt yahāñ
sātvīñ samt hai mujhe darkār
kam huī mujh pe shash-jahāt yahāñ
kis ne kholī hai merī almārī
maiñ ne rakkhe the kāġhzāt yahāñ
agle vaqtoñ meñ dil thā siine meñ
ab dhaḌaktī hai kā.enāt yahāñ
husn kī jiit par 'fidā' haiñ sabhī
ishq ko ho ga.ī hai maat yahāñ
main rahunga diye ke sath yahan
kya chalenge hawa ke hath yahan
koi aahaT sunai deti hai
kaun rahta hai mere sath yahan
marne walo palaT ke dekho zara
kaTta hai koi hayat yahan
satwin samt hai mujhe darkar
kam hui mujh pe shash-jahat yahan
kis ne kholi hai meri almari
main ne rakkhe the kaghzat yahan
agle waqton mein dil tha sine mein
ab dhaDakti hai kaenat yahan
husn ki jit par 'fida' hain sabhi
ishq ko ho gai hai mat yahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.