main rang birangi morni mere pankh bahut mumtaz
maiñ rang birañgī mornī mire pankh bahut mumtāz
mirā raqs anokhā raqs hai mujhe apne aap pe naaz
maiñ sabz rutoñ kī rāzdāñ maiñ patjhaḌ kī hamdard
maiñ apnī aap misāl huuñ merā ek judā andāz
maiñ dhānī shaam kā ruup bhī maiñ sub.h kī komal dhuup
mujhe dekh ke koyal gaa.e to har paat bajā.e saaz
maiñ mast alast faqīrnī nāchūñgī tire dvaar
mirī chhatrī ban jā sā.iyāñ mujhe apnā 'ishq navāz
maiñ vāris shaah kī hiir huuñ mire ruup haiñ ek hazār
mirā naam 'shumāma' ufuq hai mahkāroñ kī āvāz
main rang birangi morni mere pankh bahut mumtaz
mera raqs anokha raqs hai mujhe apne aap pe naz
main sabz ruton ki raazdan main patjhaD ki hamdard
main apni aap misal hun mera ek juda andaz
main dhani sham ka rup bhi main subh ki komal dhup
mujhe dekh ke koyal gae to har pat bajae saz
main mast alast faqirni nachungi tere dwar
meri chhatri ban ja saiyan mujhe apna 'ishq nawaz
main waris shah ki hir hun mere rup hain ek hazar
mera nam 'shumama' ufuq hai mahkaron ki aawaz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.