main rifaton ki anokhi misal hone laga
maiñ rif'atoñ kī anokhī misāl hone lagā
ye āsmāñ mire kāñdhoñ kī shaal hone lagā
fazā.eñ gītoñ kī furqat meñ bāñjh hone lagīñ
shajar gire to parindoñ kā kaal hone lagā
ghaḌī ghaḌī na.ī bātoñ kī khoj hone lagī
hamārā ahd mujassam-savāl hone lagā
varā-e-jism jo kuchh fāsle the miTne lage
dil is adā se sharīk-e-visāl hone lagā
nazar ke chāroñ taraf ratjagoñ kī baaḌh lagī
kisī se ḳhvāb meñ milnā muhāl hone lagā
maiñ chāhtā thā ki duniyā ko tere jaisā lagūñ
so tere qaul-o-'amal kī misāl hone lagā
zamāne bhar ke dukhoñ se rihā.ī milne lagī
tirī nazar kā koī yarġhamāl hone lagā
ise hamārī koī bad-du'ā lage na lage
ḳhud is nizām kā chalnā muhāl hone lagā
jo ahl-e-harf the kam kam hī rah ga.e 'yāvar'
hamāre shahr meñ qaht-ur-rijāl hone lagā
main rif'aton ki anokhi misal hone laga
ye aasman mere kandhon ki shaal hone laga
fazaen giton ki furqat mein banjh hone lagin
shajar gire to parindon ka kal hone laga
ghaDi ghaDi nai baaton ki khoj hone lagi
hamara ahd mujassam-sawal hone laga
wara-e-jism jo kuchh fasle the miTne lage
dil is ada se sharik-e-visal hone laga
nazar ke chaaron taraf ratjagon ki baDh lagi
kisi se KHwab mein milna muhaal hone laga
main chahta tha ki duniya ko tere jaisa lagun
so tere qaul-o-'amal ki misal hone laga
zamane bhar ke dukhon se rihai milne lagi
teri nazar ka koi yarghamal hone laga
ise hamari koi bad-du'a lage na lage
KHud is nizam ka chalna muhaal hone laga
jo ahl-e-harf the kam kam hi rah gae 'yawar'
hamare shahr mein qaht-ur-rijal hone laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.