main ro raha hun teri nazar hai itab ki
maiñ ro rahā huuñ terī nazar hai 'itāb kī
shabnam ko pī rahī hai kiran āftāb kī
bujhne pe dil hai saañs meñ bhī zābta nahīñ
zālim duhā.ī hai tire zor-e-shabāb kī
manzūr hai ḳhudā ko to pahuñchūñgā roz-e-hashr
chehre pe ḳhaak mal ke dar-e-būturāb kī
sūrat-parast merī nigāhoñ ne asl meñ
dil kyā mire vujūd kī miTTī ḳharāb kī
har pankhuḌī ke taaq meñ hañs hañs ke sub.h ko
sham'eñ jalā rahī hai kiran āftāb kī
main ro raha hun teri nazar hai 'itab ki
shabnam ko pi rahi hai kiran aaftab ki
bujhne pe dil hai sans mein bhi zabta nahin
zalim duhai hai tere zor-e-shabab ki
manzur hai KHuda ko to pahunchunga roz-e-hashr
chehre pe KHak mal ke dar-e-buturab ki
surat-parast meri nigahon ne asl mein
dil kya mere wujud ki miTTi KHarab ki
har pankhuDi ke taq mein hans hans ke subh ko
sham'en jala rahi hai kiran aaftab ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.