Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main sach mein dekh ke aaya hun kaenat ki had

Ananth Faani

main sach mein dekh ke aaya hun kaenat ki had

Ananth Faani

MORE BYAnanth Faani

    maiñ sach meñ dekh ke aayā huuñ kā.enāt had

    nazar kahīñ bhī nahīñ aa.ī mujh ko raat had

    ye aarzū mirī har had ke paar chukī hai

    ki paar kar luuñ kabhī to maiñ apnī zaat had

    na bhuuk na havas na rā.egānī

    qubūl nahīñ ham ko kisī bhī baat had

    yahī sabab hai ki ḳhāmoshī mujh ko bhātī hai

    is ik zabāñ meñ nahīñ hai kahīñ luġhāt had

    hayāt to hadeñ tai-shuda hotī haiñ

    samā sakegī kahāñ in meñ ḳhvāhishāt had

    ġharaz ki ham haiñ jahāñ ye hai shāhkār terā

    to ye jahān hai tere taḳhaiyyulāt had

    phir is ke baa'd ke ash'ār hashv lagte haiñ

    'anant' is liye rakhte haiñ pāñch saat had

    main sach mein dekh ke aaya hun kaenat ki had

    nazar kahin bhi nahin aai mujh ko raat ki had

    ye aarzu meri har had ke par ja chuki hai

    ki par kar lun kabhi to main apni zat ki had

    na bhuk ki na hawas ki na raegani ki

    qubul hi nahin hum ko kisi bhi baat ki had

    yahi sabab hai ki KHamoshi mujh ko bhati hai

    is ek zaban mein nahin hai kahin lughat ki had

    hayat ki to haden tai-shuda hi hoti hain

    sama sakegi kahan in mein KHwahishat ki had

    gharaz ki hum hain jahan ye hai shahkar tera

    to ye jahan hai tere taKHaiyyulat ki had

    phir is ke ba'd ke ash'ar hashw lagte hain

    'anant' is liye rakhte hain panch sat ki had

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now