main sada faqiri hun mujh mein hu ziyaada hai
maiñ sadā faqīrī huuñ mujh meñ hū ziyāda hai
mujh meñ yaar maiñ kam huuñ aur tū ziyāda hai
vaqt ke ḳhudāoñ se roz jo ulajhtā huuñ
shāyad in ragoñ meñ bhī kuchh lahū ziyāda hai
kuchh to boliye sāhib shor kā fusūñ TuuTe
aap kī ḳhamoshī meñ guftugū ziyāda hai
thartharāte hoñToñ kī siskiyāñ batātī haiñ
shahr-e-jāñ kī galiyoñ meñ hāo-hū ziyāda hai
zard sūkhe pattoñ meñ bhī anā to hotī hai
maanā taaza phūloñ meñ rang bū ziyāda hai
'shāhdil' tire dil ko chain kyoñ nahīñ aatā
jab libās-e-furqat bhī kuchh rafū ziyāda hai
main sada faqiri hun mujh mein hu ziyaada hai
mujh mein yar main kam hun aur tu ziyaada hai
waqt ke KHudaon se roz jo ulajhta hun
shayad in ragon mein bhi kuchh lahu ziyaada hai
kuchh to boliye sahib shor ka fusun TuTe
aap ki KHamoshi mein guftugu ziyaada hai
thartharaate honTon ki siskiyan batati hain
shahr-e-jaan ki galiyon mein hao-hu ziyaada hai
zard sukhe patton mein bhi ana to hoti hai
mana taza phulon mein rang bu ziyaada hai
'shahdil' tere dil ko chain kyon nahin aata
jab libas-e-furqat bhi kuchh rafu ziyaada hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.