main samajhta tha dar-o-baam kahan bolte hain
main samajhta tha dar-o-baam kahan bolte hain
Aqeel Abbas Chughtai
MORE BYAqeel Abbas Chughtai
maiñ samajhtā thā dar-o-bām kahāñ bolte haiñ
phir tire baa'd khulā mujh pe ki haañ bolte haiñ
ye jo dabtī hai mire shor meñ āvāz mirī
merī hastī meñ kahīñ kār-e-ziyāñ bolte haiñ
is jahāñ ke mutavāzī bhī jahāñ hai koī
jo yahāñ bol nahīñ paate vahāñ bolte haiñ
muttasil us ke laboñ se hai ye kār-e-āvāz
vo agar hil na sakeñ ham bhī kahāñ bolte haiñ
ik zamāne ko bayāñ karte haiñ lafzoñ ke baġhair
mujh suḳhan-sāz se behtar to nishāñ bolte haiñ
dekh ik duuje se Takrāne lagīñ āvāzeñ
itnā be-Dhañg tire log yahāñ bolte haiñ
ik ḳhalā hai jo sadāoñ ko nigal jaatā hai
koī sun hī nahīñ paatā jo makāñ bolte haiñ
aag rotī hai to ham ko bhī rulā detī hai
ye to aañsū haiñ jinheñ log dhuāñ bolte haiñ
ashk dar ashk salāsat hai bahāo meñ 'aqīl'
mirī āñkhoñ ko tabhī chashm-e-ravāñ bolte haiñ
main samajhta tha dar-o-baam kahan bolte hain
phir tere ba'd khula mujh pe ki han bolte hain
ye jo dabti hai mere shor mein aawaz meri
meri hasti mein kahin kar-e-ziyan bolte hain
is jahan ke mutawazi bhi jahan hai koi
jo yahan bol nahin pate wahan bolte hain
muttasil us ke labon se hai ye kar-e-awaz
wo agar hil na saken hum bhi kahan bolte hain
ek zamane ko bayan karte hain lafzon ke baghair
mujh suKHan-saz se behtar to nishan bolte hain
dekh ek duje se Takrane lagin aawazen
itna be-Dhang tere log yahan bolte hain
ek KHala hai jo sadaon ko nigal jata hai
koi sun hi nahin pata jo makan bolte hain
aag roti hai to hum ko bhi rula deti hai
ye to aansu hain jinhen log dhuan bolte hain
ashk dar ashk salasat hai bahao mein 'aqil'
meri aankhon ko tabhi chashm-e-rawan bolte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.