main samjha tha zara sa muKHtalif hai
maiñ samjhā thā zarā sā muḳhtalif hai
magar vo achchhā ḳhāsā muḳhtalif hai
mujhī se hī shikāyat kis liye hai
tirā bhī to ravayya muḳhtalif hai
batānā hī paḌā āḳhir ye us ko
jo hotā hai vo lagtā muḳhtalif hai
bichhaḌte vaqt us ne ye kahā thā
tirā mujh se qabīla muḳhtalif hai
kabhī aa mil ke dekheñ aa.ine meñ
khulegā ham meñ kyā kyā muḳhtalif hai
mirā tum se ta.alluq muḳhtalif thā
magar logoñ ne samjhā muḳhtalif hai
mirā honā na honā hai barābar
tirā honā na honā muḳhtalif hai
jo logoñ ne batāyā sab ġhalat thā
tirā yaksar sarāpā muḳhtalif hai
jo us kī chāhateñ haiñ aarzī haiñ
magar merā irāda muḳhtalif hai
'saġhīr' us kī haiñ āñkheñ bhī ġhazab kī
aur us par ye ki hañstā muḳhtalif hai
main samjha tha zara sa muKHtalif hai
magar wo achchha KHasa muKHtalif hai
mujhi se hi shikayat kis liye hai
tera bhi to rawayya muKHtalif hai
batana hi paDa aaKHir ye us ko
jo hota hai wo lagta muKHtalif hai
bichhaDte waqt us ne ye kaha tha
tera mujh se qabila muKHtalif hai
kabhi aa mil ke dekhen aaine mein
khulega hum mein kya kya muKHtalif hai
mera tum se talluq muKHtalif tha
magar logon ne samjha muKHtalif hai
mera hona na hona hai barabar
tera hona na hona muKHtalif hai
jo logon ne bataya sab ghalat tha
tera yaksar sarapa muKHtalif hai
jo us ki chahaten hain aarzi hain
magar mera irada muKHtalif hai
'saghir' us ki hain aankhen bhi ghazab ki
aur us par ye ki hansta muKHtalif hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.