main sath-e-sher pe ubhra hun aaftab liye
main sath-e-sher pe ubhra hun aaftab liye
Niyaz Husain Lakhwera
MORE BYNiyaz Husain Lakhwera
maiñ sat.h-e-sher pe ubhrā huuñ āftāb liye
ḳhulūs-e-fikr shu.ūr-e-nazar ke ḳhvāb liye
suḳhan-shanās bhī hai fan se āshnā bhī hai
vo kal milā thā mujhe faiz kī kitāb liye
sukūn-e-jism to hāsil kabhī huā hī nahīñ
maiñ jī rahā huuñ tirī qurbatoñ ke ḳhvāb liye
jhulas rahā hai javānī kī lau meñ merā badan
tirī talāsh meñ huuñ garmī-e-shabāb liye
nazar uThā ki tire rū-ba-rū maiñ Thahrā huuñ
niyāz-o-nāz ke mahke hue gulāb liye
main sath-e-sher pe ubhra hun aaftab liye
KHulus-e-fikr shuur-e-nazar ke KHwab liye
suKHan-shanas bhi hai fan se aashna bhi hai
wo kal mila tha mujhe faiz ki kitab liye
sukun-e-jism to hasil kabhi hua hi nahin
main ji raha hun teri qurbaton ke KHwab liye
jhulas raha hai jawani ki lau mein mera badan
teri talash mein hun garmi-e-shabab liye
nazar uTha ki tere ru-ba-ru main Thahra hun
niyaz-o-naz ke mahke hue gulab liye
- Book : Abr, Hawa aur Barish (Pg. 110)
- Author : Niyaz Hussain Lakhvira
- Publication : Mavaraa Publications (1988)
- Edition : 1988
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.