main shairi ka faqat ishtihaar karta hun
maiñ shā'irī kā faqat ishtihār kartā huuñ
guloñ se 'ishq parindoñ se pyaar kartā huuñ
mire badan pe thakan dekh kaise bikhrī hai
ki jaise roz samundar ko paar kartā huuñ
vo sāda-dil hai guzartī ho jaane kyā us par
maiñ jis tarah se use be-qarār kartā huuñ
maiñ terī bātoñ ko suntā huuñ jo ḳhamoshī se
tujhe lagā ki tirā e'tibār kartā huuñ
maiñ baiTh jaatā huuñ har shaam ghar kī chaukhaT par
phir apne lauTne kā intizār kartā huuñ
bas ab kī baar to mar kar bhī dekhnā hai mujhe
koī bhī kaam ho maiñ ek baar kartā huuñ
main sha'iri ka faqat ishtihaar karta hun
gulon se 'ishq parindon se pyar karta hun
mere badan pe thakan dekh kaise bikhri hai
ki jaise roz samundar ko par karta hun
wo sada-dil hai guzarti ho jaane kya us par
main jis tarah se use be-qarar karta hun
main teri baaton ko sunta hun jo KHamoshi se
tujhe laga ki tera e'tibar karta hun
main baiTh jata hun har sham ghar ki chaukhaT par
phir apne lauTne ka intizar karta hun
bas ab ki bar to mar kar bhi dekhna hai mujhe
koi bhi kaam ho main ek bar karta hun
- Book : Aavaazon Ka Raushandaan (Pg. 84)
- Author : Kuldeep Kumar
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.