main shad hun to zamane mein shadmani hai
maiñ shaad huuñ to zamāne meñ shādmānī hai
sharāb laao ki aalam tamām faanī hai
tamām ālam-e-hastī pe hukmarānī hai
mirā jahān hai jab tak mirī javānī hai
ragoñ meñ ruuh hai aur ḳhuun meñ ravānī hai
nigāh bāda-kash o chehra arġhavānī hai
taġhayyurāt ke aalam meñ zindagānī hai
shabāb faanī nazar faanī husn faanī hai
kahīñ kahīñ ye mohabbat bhī ġhair-fānī hai
jahāñ ḳhayāl haqīqat kī tarjumānī hai
tire ḳhayāl se hai masti-e-nazar merī
tirī nigāh se maiñ ne sharāb chhānī hai
tirā jamāl fasānoñ meñ rañg bhartā hai
tire shabāb se dilkash mirī kahānī hai
mirī hayāt meñ jab tū nahīñ to kuchh bhī nahīñ
tire baġhair bhī kyā ḳhaak zindagānī hai
dil-e-fasurda meñ hotī hai zindagī paidā
'nushūr' jura-e-sahbā bhī zindagānī hai
main shad hun to zamane mein shadmani hai
sharab lao ki aalam tamam fani hai
tamam aalam-e-hasti pe hukmarani hai
mera jahan hai jab tak meri jawani hai
ragon mein ruh hai aur KHun mein rawani hai
nigah baada-kash o chehra arghawani hai
taghayyuraat ke aalam mein zindagani hai
shabab fani nazar fani husn fani hai
kahin kahin ye mohabbat bhi ghair-fani hai
jahan KHayal haqiqat ki tarjumani hai
tere KHayal se hai masti-e-nazar meri
teri nigah se main ne sharab chhani hai
tera jamal fasanon mein rang bharta hai
tere shabab se dilkash meri kahani hai
meri hayat mein jab tu nahin to kuchh bhi nahin
tere baghair bhi kya KHak zindagani hai
dil-e-fasurda mein hoti hai zindagi paida
'nushur' jura-e-sahba bhi zindagani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.