main shayad khelne khane laga hun
maiñ shāyad khelne khāne lagā huuñ
ye lutf-e-zīst jo paane lagā huuñ
maiñ rasm-o-rāh-o-andāz-e-vafā ko
koī ā.īna dikhlāne lagā huuñ
haqīqat kuchh nahīñ duniyā jahāñ kī
haqīqat ḳhud ko samjhāne lagā huuñ
abhī haiñ marhale ḳhushiyoñ ke baaqī
ye kah kar dil ko bahlāne lagā huuñ
gurezāñ ashk barsāne se āñkheñ
magar maiñ ḳhuun barsāne lagā huuñ
abhī mañjdhār meñ utrī na nayyā
abhī lahroñ se ghabrāne lagā huuñ
na suljhā mujh se koī ek lamha
tanāb-e-zīst suljhāne lagā huuñ
bhalā ho zindagī ke hādsoñ kā
'ajab lutf-e-qazā paane lagā huuñ
lagā kar maut ko siine se apne
mujhe lagtā hai ghar jaane lagā huuñ
mubārak raunaqeñ duniyā kī tum ko
ḳhudā-hāfiz ki maiñ jaane lagā huuñ
vo jis ne zaḳhm-e-dil behtar diye haiñ
usī ke zaḳhm sahlāne lagā huuñ
burā ho raushnī terī anā kā
siyāhī se bhī ghabrāne lagā huuñ
baḌā uubā huā huuñ sarḳhushī se
'ḳhayāl' ab ġham ke sir.hāne lagā huuñ
main shayad khelne khane laga hun
ye lutf-e-zist jo pane laga hun
main rasm-o-rah-o-andaz-e-wafa ko
koi aaina dikhlane laga hun
haqiqat kuchh nahin duniya jahan ki
haqiqat KHud ko samjhane laga hun
abhi hain marhale KHushiyon ke baqi
ye kah kar dil ko bahlane laga hun
gurezan ashk barsane se aankhen
magar main KHun barsane laga hun
abhi manjdhaar mein utri na nayya
abhi lahron se ghabrane laga hun
na suljha mujh se koi ek lamha
tanab-e-zist suljhane laga hun
bhala ho zindagi ke hadson ka
'ajab lutf-e-qaza pane laga hun
laga kar maut ko sine se apne
mujhe lagta hai ghar jaane laga hun
mubarak raunaqen duniya ki tum ko
KHuda-hafiz ki main jaane laga hun
wo jis ne zaKHm-e-dil behtar diye hain
usi ke zaKHm sahlane laga hun
bura ho raushni teri ana ka
siyahi se bhi ghabrane laga hun
baDa uba hua hun sarKHushi se
'KHayal' ab gham ke sirhane laga hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.