main sharmsar hun apne zamir ke aage
maiñ sharmsār huuñ apne zamīr ke aage
ki haath ḳhālī thā merā faqīr ke aage
mirā yaqīn thā hadd-e-gumān ke andar
kabhī bhī sochā nahīñ hai lakīr ke aage
koī to jazba thā mahjūr ke ḳhayāloñ meñ
pighal rahī thiiñ salāsil asiir ke aage
charāġh-e-saharī thā lekin ajiib raushan thā
chamak rahā thā vo māh-e-munīr ke aage
maiñ kaise us ke likhe par yaqīn kar letā
qalam bhī girvī thā jis kā amiir ke aage
har ek shaḳhs thā kamzor-o-nātavāñ 'sāhil'
badan-darīda thā har ik sharīr ke aage
main sharmsar hun apne zamir ke aage
ki hath KHali tha mera faqir ke aage
mera yaqin tha hadd-e-guman ke andar
kabhi bhi socha nahin hai lakir ke aage
koi to jazba tha mahjur ke KHayalon mein
pighal rahi thin salasil asir ke aage
charagh-e-sahari tha lekin ajib raushan tha
chamak raha tha wo mah-e-munir ke aage
main kaise us ke likhe par yaqin kar leta
qalam bhi girwi tha jis ka amir ke aage
har ek shaKHs tha kamzor-o-natawan 'sahil'
badan-darida tha har ek sharir ke aage
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 552)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.