main sochta hun sabaq maine wo paDha hi nahin
maiñ sochtā huuñ sabaq maiñ ne vo paḌhā hī nahīñ
mire junūñ kī hikāyat meñ jo likhā hī nahīñ
maiñ sochtā huuñ zuleḳhā kī kuchh ḳhabar aa.e
mire sivā kahīñ yūsuf kā kuchh patā hī nahīñ
maiñ sochtā hū ki apne ḳhudā se kah Dālūñ
vo sab jo maiñ ne kabhī aaj tak kahā hī nahīñ
maiñ sochtā huuñ ki sab to the gosh-bar-āvāz
vahī thā ek ki jis ne kahā sunā hī nahīñ
maiñ sochtā huuñ kabhī raat ke añdheroñ meñ
charāġh vo bhī jale jo kabhī jalā hī nahīñ
maiñ sochtā huuñ jo ḳhāmoshiyoñ ke sahrā meñ
sadā kī dhund meñ saa.at kā kuchh patā hī nahīñ
maiñ sochtā huuñ ki daanā hī aisā kahte haiñ
ye sar to ġhair ke aage kabhī jhukā hī nahīñ
main sochta hun sabaq main ne wo paDha hi nahin
mere junun ki hikayat mein jo likha hi nahin
main sochta hun zuleKHa ki kuchh KHabar aae
mere siwa kahin yusuf ka kuchh pata hi nahin
main sochta hu ki apne KHuda se kah Dalun
wo sab jo main ne kabhi aaj tak kaha hi nahin
main sochta hun ki sab to the gosh-bar-awaz
wahi tha ek ki jis ne kaha suna hi nahin
main sochta hun kabhi raat ke andheron mein
charagh wo bhi jale jo kabhi jala hi nahin
main sochta hun jo KHamoshiyon ke sahra mein
sada ki dhund mein saat ka kuchh pata hi nahin
main sochta hun ki dana hi aisa kahte hain
ye sar to ghair ke aage kabhi jhuka hi nahin
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 639)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
- Edition : 2013-14
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.