main sochta rahta hun dimaghon mein nahin jo
maiñ sochtā rahtā huuñ dimāġhoñ meñ nahīñ jo
hai kaun sā vo phuul ki bāġhoñ meñ nahīñ jo
hotī hai kisī dīda-e-namnāk kī lau se
vo raushnī kaisī hai charāġhoñ meñ nahīñ jo
dekho na mirā jism mirī ruuh jalī thī
ye daaġh hai vo jild ke dāġhoñ meñ nahīñ jo
paanī meñ zamīnoñ pe havā meñ use khojā
vo kaisā nishāñ hai ki surāġhoñ meñ nahīñ jo
ik kār-e-musalsal hai use chāhte rahnā
lutf is kā lagātār hai nāġhoñ meñ nahīñ jo
is mahfil-e-ahbāb kī sarshārī ajab hai
vo mai bhī chhalak jaa.e ayāġhoñ meñ nahīñ jo
rangat hī nahīñ āb-o-havā kā bhī asar hai
baguloñ meñ koī baat hai zāġhoñ meñ nahīñ jo
'nāsir' haiñ ajab boliyāñ tā.ūs-e-zamāñ kī
ashjār ke pur-ġhol kulāġhoñ meñ nahīñ jo
main sochta rahta hun dimaghon mein nahin jo
hai kaun sa wo phul ki baghon mein nahin jo
hoti hai kisi dida-e-namnak ki lau se
wo raushni kaisi hai charaghon mein nahin jo
dekho na mera jism meri ruh jali thi
ye dagh hai wo jild ke daghon mein nahin jo
pani mein zaminon pe hawa mein use khoja
wo kaisa nishan hai ki suraghon mein nahin jo
ek kar-e-musalsal hai use chahte rahna
lutf is ka lagatar hai naghon mein nahin jo
is mahfil-e-ahbab ki sarshaari ajab hai
wo mai bhi chhalak jae ayaghon mein nahin jo
rangat hi nahin aab-o-hawa ka bhi asar hai
bagulon mein koi baat hai zaghon mein nahin jo
'nasir' hain ajab boliyan taus-e-zaman ki
ashjar ke pur-ghol kulaghon mein nahin jo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.