main sochta tha ki dega mujhe ujale kaun
maiñ sochtā thā ki degā mujhe ujāle kaun
ye kar gayā mah-o-anjum mire havāle kaun
nayā jarīda-e-sher-o-adab nikāle kaun
yahāñ ḳharīd ke paḌhtā hai ḳhud risāle kaun
chahār-samt muñDeroñ pe zaaġh baiThe haiñ
na jaane chhīn le ma.asūm ke nivāle kaun
pilā ke ḳhūn-e-jigar dostoñ ko dekh liyā
ab aur dushman-e-jāñ āstīñ meñ paale kaun
pasīna bech rahā huuñ lahū bhī arzāñ hai
ḳharīdtā hai kaf-e-ḳhūñfishāñ ke chhāle kaun
hazār tarah kī zehnī aziyyateñ de kar
pilā rahā hai mujhe zahr ke pyāle kaun
lagī ho niiñd to yāroñ ko hoshiyār kareñ
ye murda log haiñ murdoñ meñ jaan Daale kaun
ye rang-o-nasl kī tafrīq ham ne ḳhud kī hai
vagarna ek haiñ sab gore kaun kaale kaun
kisī purāne khañDar meñ ye lāsheñ dafnā do
havā ḳhilāf hai nezoñ pe sar uchhāle kaun
main sochta tha ki dega mujhe ujale kaun
ye kar gaya mah-o-anjum mere hawale kaun
naya jarida-e-sher-o-adab nikale kaun
yahan KHarid ke paDhta hai KHud risale kaun
chahaar-samt munDeron pe zagh baiThe hain
na jaane chhin le masum ke niwale kaun
pila ke KHun-e-jigar doston ko dekh liya
ab aur dushman-e-jaan aastin mein pale kaun
pasina bech raha hun lahu bhi arzan hai
KHaridta hai kaf-e-KHunfishan ke chhaale kaun
hazar tarah ki zehni aziyyaten de kar
pila raha hai mujhe zahr ke pyale kaun
lagi ho nind to yaron ko hoshiyar karen
ye murda log hain murdon mein jaan Dale kaun
ye rang-o-nasl ki tafriq hum ne KHud ki hai
wagarna ek hain sab gore kaun kale kaun
kisi purane khanDar mein ye lashen dafna do
hawa KHilaf hai nezon pe sar uchhaale kaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.