main sochti hun ki ai rab furaat kyon nahin ki
maiñ sochtī huuñ ki ai rab furāt kyoñ nahīñ kī
kushāda ham pe zamīn-e-hayāt kyoñ nahīñ kī
kisī ne pūchhā hai ghabrā ke jaane vāloñ se
basar sarā.e meñ ik aur raat kyoñ nahīñ kī
bas itnī baat pe munsif sazā.eñ detā rahā
qubūl shahr ke logoñ ne maat kyoñ nahīñ kī
bañdhe the haath hamāre so ham se mat pūchho
uThā ke haath du’ā-e-najāt kyoñ nahīñ kī
mirā to zaḳhm hī nāsūr ban gayā tū ne
'ilāj karte hue ehtiyāt kyoñ nahīñ kī
mire qabīle ke sardār vo munāfiq haiñ
zabān kaaT ke kahte haiñ baat kyoñ nahīñ kī
main sochti hun ki ai rab furaat kyon nahin ki
kushada hum pe zamin-e-hayat kyon nahin ki
kisi ne puchha hai ghabra ke jaane walon se
basar sarae mein ek aur raat kyon nahin ki
bas itni baat pe munsif sazaen deta raha
qubul shahr ke logon ne mat kyon nahin ki
bandhe the hath hamare so hum se mat puchho
uTha ke hath du’a-e-najat kyon nahin ki
mera to zaKHm hi nasur ban gaya tu ne
'ilaj karte hue ehtiyat kyon nahin ki
mere qabile ke sardar wo munafiq hain
zaban kaT ke kahte hain baat kyon nahin ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.