main sununga wahi bas kahen aap jo
maiñ sunūñgā vahī bas kaheñ aap jo
maiñ kahūñgā vahī bas suneñ aap jo
ho nasīm-e-ḳhizāñ bhī mahaktī huī
pyārī pyārī sī bāteñ kareñ aap jo
aap ne ham pe kitne karam haiñ kiye
kuchh karam ham bhī kar leñ kaheñ aap jo
hogā lambā safar bhī bahut muḳhtasar
haañ magar saath mere chaleñ aap jo
sab se behtar yahī merī 'tauqīr' ho
ik ġhazal merī kuchh pal paḌheñ aap jo
main sununga wahi bas kahen aap jo
main kahunga wahi bas sunen aap jo
ho nasim-e-KHizan bhi mahakti hui
pyari pyari si baaten karen aap jo
aap ne hum pe kitne karam hain kiye
kuchh karam hum bhi kar len kahen aap jo
hoga lamba safar bhi bahut muKHtasar
han magar sath mere chalen aap jo
sab se behtar yahi meri 'tauqir' ho
ek ghazal meri kuchh pal paDhen aap jo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.