main tap-e-ishq mein ba-dida-e-tar jaunga
maiñ tap-e-ishq meñ bā-dīda-e-tar jā.ūñgā
aag kā bhī ho samundar to guzar jā.ūñgā
maiñ añdheroñ se kiran ban ke guzar jā.ūñgā
os ban kar maiñ rag-e-gul meñ utar jā.ūñgā
merī hairat hī uḌā.egī tamasḳhur merā
aa.ine sāmne ā.eñge jidhar jā.ūñgā
tum jahāñ mujh pe ināyat kī nazar Dāloge
maiñ vahīñ saf.ha-e-hastī pe ubhar jā.ūñgā
kabhī ro.ūñgā maiñ sāyoñ se lipaT kar 'sarshār'
aur kabhī apnī hī parchhā.īñ se Dar jā.ūñgā
main tap-e-ishq mein ba-dida-e-tar jaunga
aag ka bhi ho samundar to guzar jaunga
main andheron se kiran ban ke guzar jaunga
os ban kar main rag-e-gul mein utar jaunga
meri hairat hi uDaegi tamasKHur mera
aaine samne aaenge jidhar jaunga
tum jahan mujh pe inayat ki nazar Daloge
main wahin safha-e-hasti pe ubhar jaunga
kabhi rounga main sayon se lipaT kar 'sarshaar'
aur kabhi apni hi parchhain se Dar jaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.