main tasht-e-KHwab liye hath mein guzar gai hun
maiñ tasht-e-ḳhvāb liye haath meñ guzar ga.ī huuñ
samajh sakā na vo jis ke liye maiñ ghar ga.ī huuñ
bahut ajab thī samundar se guftugū lekin
pahan ke pyaas palaTne kā sabr kar ga.ī huuñ
mirā mizāj rahā dasht-āshnā shab bhar
ki din meñ bastiyāñ dekhīñ to jaise Dar ga.ī huuñ
husūl-e-ḳhvāhish-e-nāyāb garche nā-mumkin
kisī ke va.ada-e-be-āb pe Thahar ga.ī huuñ
bahut nihāl hai dil aañkh meñ hai sarmastī
lage ki shahar-e-ḳhush-anjām se guzar ga.ī huuñ
balā se bhuul ga.e vo jo āshnā the kabhī
maiñ aaj apne shabistāñ meñ be-ḳhatar ga.ī huuñ
ḳhushā hathelī pe yādoñ kā qāfila Thahrā
ḳhushā ki yaad thī aisī ḳhushī se mar ga.ī huuñ
bahut aziiz thā āshuftagī kā pairāhan
ye jaan kar dam-e-āzurdagī bikhar ga.ī huuñ
sarāb-āsā rahā vo ta.alluq-e-ḳhūbāñ
palaT palaT ke bulātā hai phir bhī Dar ga.ī huuñ
main tasht-e-KHwab liye hath mein guzar gai hun
samajh saka na wo jis ke liye main ghar gai hun
bahut ajab thi samundar se guftugu lekin
pahan ke pyas palaTne ka sabr kar gai hun
mera mizaj raha dasht-ashna shab bhar
ki din mein bastiyan dekhin to jaise Dar gai hun
husul-e-KHwahish-e-nayab garche na-mumkin
kisi ke wada-e-be-ab pe Thahar gai hun
bahut nihaal hai dil aankh mein hai sarmasti
lage ki shahar-e-KHush-anjam se guzar gai hun
bala se bhul gae wo jo aashna the kabhi
main aaj apne shabistan mein be-KHatar gai hun
KHusha hatheli pe yaadon ka qafila Thahra
KHusha ki yaad thi aisi KHushi se mar gai hun
bahut aziz tha aashuftagi ka pairahan
ye jaan kar dam-e-azurdagi bikhar gai hun
sarab-asa raha wo talluq-e-KHuban
palaT palaT ke bulata hai phir bhi Dar gai hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.