Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main tera koi nahin phir bhi puchh baiTha hun

Khaleequzzaman Nusrat

main tera koi nahin phir bhi puchh baiTha hun

Khaleequzzaman Nusrat

MORE BYKhaleequzzaman Nusrat

    maiñ terā koī nahīñ phir bhī pūchh baiThā huuñ

    ye āñsuoñ chamak hai ki chashm-e-tar meñ charāġh

    har ek shaḳhs ko miltā kahāñ hai raushan haath

    ki rab jalātā nahīñ dast-e-be-hunar meñ charāġh

    to ham bhī raat ke jañgal meñ so ga.e hote

    na bante paañv ke chhāle agar safar meñ charāġh

    maiñ raushnī ke ta.āqub meñ kuchh na dekh sakā

    lagī vo Thes ki dhuñdlā ga.e nazar meñ charāġh

    jalā ke chhoḌ diyā kis ne bahte dariyā meñ

    na ye bhī sochā ki aa saktā hai bhañvar meñ charāġh

    tumhārā shahr mire gaañv se hai kitnā alag

    yahāñ guloñ jagah khilte haiñ shajar meñ charāġh

    dil-o-dimāġh meñ bharne lagā hai raat Dar

    jalānā bhuul ga.e log rahguzar meñ charāġh

    main tera koi nahin phir bhi puchh baiTha hun

    ye aansuon ki chamak hai ki chashm-e-tar mein charagh

    har ek shaKHs ko milta kahan hai raushan hath

    ki rab jalata nahin dast-e-be-hunar mein charagh

    to hum bhi raat ke jangal mein so gae hote

    na bante panw ke chhaale agar safar mein charagh

    main raushni ke taaqub mein kuchh na dekh saka

    lagi wo Thes ki dhundla gae nazar mein charagh

    jala ke chhoD diya kis ne bahte dariya mein

    na ye bhi socha ki aa sakta hai bhanwar mein charagh

    tumhaara shahr mere ganw se hai kitna alag

    yahan gulon ki jagah khilte hain shajar mein charagh

    dil-o-dimagh mein bharne laga hai raat ka Dar

    jalana bhul gae log rahguzar mein charagh

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now