main tere hijr-zada mausamon ki zad mein hun
maiñ tere hijr-zada mausamoñ kī zad meñ huuñ
pas-e-ḳhayāl tirī qurbatoñ kī had meñ huuñ
maiñ chāhtī huuñ ujālā mirī zamīñ par ho
maiñ ik diyā huuñ magar raushnī kī mad meñ huuñ
ye nasl-e-nau mire lahje se muttafiq kab hai
maiñ ik savāl huuñ lekin qubūl-o-rad meñ huuñ
kashāñ kashāñ liye phirtī hai justujū koī
ḳhabar nahīñ ki junūñ meñ huuñ yā ḳhirad meñ huuñ
mirā hunar mirā apnā hai musta.ār nahīñ
maiñ jis qadar bhī jahāñ bhī huuñ apne qad meñ huuñ
kudūrateñ haiñ yahāñ nafrat-o-adāvat hai
magar maiñ phir bhī yahāñ fikr-e-nek-o-bad meñ huuñ
vo dostī meñ 'ġhazal' had se gir ga.e lekin
maiñ dushmanī ko nibhā kar bhī apnī had meñ huuñ
main tere hijr-zada mausamon ki zad mein hun
pas-e-KHayal teri qurbaton ki had mein hun
main chahti hun ujala meri zamin par ho
main ek diya hun magar raushni ki mad mein hun
ye nasl-e-nau mere lahje se muttafiq kab hai
main ek sawal hun lekin qubul-o-rad mein hun
kashan kashan liye phirti hai justuju koi
KHabar nahin ki junun mein hun ya KHirad mein hun
mera hunar mera apna hai mustaar nahin
main jis qadar bhi jahan bhi hun apne qad mein hun
kuduraten hain yahan nafrat-o-adawat hai
magar main phir bhi yahan fikr-e-nek-o-bad mein hun
wo dosti mein 'ghazal' had se gir gae lekin
main dushmani ko nibha kar bhi apni had mein hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.