main tere ishq mein KHana-KHarab ho jaun
maiñ tere ishq meñ ḳhāna-ḳharāb ho jā.ūñ
tirā sukūn tirā iztirāb ho jā.ūñ
tamām pahlū taġhayyur ke merī fitrat haiñ
kabhī sabab to kabhī sadd-e-bāb ho jā.ūñ
kabhī maiñ gul kī tarah sab kī dastaras meñ rahūñ
kabhī pahuñch se pare māhtāb ho jā.ūñ
kabhī ho shauq-e-gurezāñ kabhī ho barham-e-zauq
kabhī maiñ maktab-e-dil kā nisāb ho jā.ūñ
maiñ chuntī rahtī huuñ ehsās se guñdhe hue lafz
duā karo ki maiñ ahl-e-kitāb ho jā.ūñ
main tere ishq mein KHana-KHarab ho jaun
tera sukun tera iztirab ho jaun
tamam pahlu taghayyur ke meri fitrat hain
kabhi sabab to kabhi sadd-e-bab ho jaun
kabhi main gul ki tarah sab ki dastaras mein rahun
kabhi pahunch se pare mahtab ho jaun
kabhi ho shauq-e-gurezan kabhi ho barham-e-zauq
kabhi main maktab-e-dil ka nisab ho jaun
main chunti rahti hun ehsas se gundhe hue lafz
dua karo ki main ahl-e-kitab ho jaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.