main tere samne fariyaad karne wala nahin
maiñ tere sāmne fariyād karne vaalā nahīñ
ye āsmān zamīñ par utarne vaalā nahīñ
tumhāre shahr meñ chālāk log rahte haiñ
mohabbatoñ meñ yahāñ koī marne vaalā nahīñ
ye āftāb to har shaam Duub jaatā hai
magar ye hijr kā din to guzarne vaalā nahīñ
tujhe to ḳhair kisī moḌ par bichhaḌnā thā
tirā ye faisla hairān karne vaalā nahīñ
hamārī āñkheñ kisī ḳhushk jhiil jaisī haiñ
koī bhī naqsh yahāñ ab ubharne vaalā nahīñ
main tere samne fariyaad karne wala nahin
ye aasman zamin par utarne wala nahin
tumhaare shahr mein chaalak log rahte hain
mohabbaton mein yahan koi marne wala nahin
ye aaftab to har sham Dub jata hai
magar ye hijr ka din to guzarne wala nahin
tujhe to KHair kisi moD par bichhaDna tha
tera ye faisla hairan karne wala nahin
hamari aankhen kisi KHushk jhil jaisi hain
koi bhi naqsh yahan ab ubharne wala nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.