main teri aankh mein ye kya talash karta hun
maiñ terī aañkh meñ ye kyā talāsh kartā huuñ
bhañvar ke biich kināra talāsh kartā huuñ
maiñ ik sukūn kā lamha talāsh kartā huuñ
udāsiyoñ meñ bhī rasta talāsh kartā huuñ
jo merī aañkh se ojhal kabhī nahīñ hotā
use maiñ sab se ziyāda talāsh kartā huuñ
isī liye to kabhī DhūñD hī nahīñ paayā
har ek shaḳhs meñ ḳhud sā talāsh kartā huuñ
jo mere haath se bachpan meñ kho gayā thā miyāñ
maiñ aaj bhī vahī basta talāsh kartā huuñ
bichhaḌne lagtā hai koī zarā zarā kar ke
phir us ko saare kā saarā talāsh kartā huuñ
talāsh karte hue bhuul jaatā huuñ ḳhud ko
kabhī kabhī tujhe itnā talāsh kartā huuñ
yahīñ kahīñ kabhī baiThā huā thā maiñ 'tābish'
so tai kiyā ki dobāra talāsh kartā huuñ
main teri aankh mein ye kya talash karta hun
bhanwar ke bich kinara talash karta hun
main ek sukun ka lamha talash karta hun
udasiyon mein bhi rasta talash karta hun
jo meri aankh se ojhal kabhi nahin hota
use main sab se ziyaada talash karta hun
isi liye to kabhi DhunD hi nahin paya
har ek shaKHs mein KHud sa talash karta hun
jo mere hath se bachpan mein kho gaya tha miyan
main aaj bhi wahi basta talash karta hun
bichhaDne lagta hai koi zara zara kar ke
phir us ko sare ka sara talash karta hun
talash karte hue bhul jata hun KHud ko
kabhi kabhi tujhe itna talash karta hun
yahin kahin kabhi baiTha hua tha main 'tabish'
so tai kiya ki dobara talash karta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.