Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main tere Dar se ro nahin sakta

Bayan Ahsanullah Khan

main tere Dar se ro nahin sakta

Bayan Ahsanullah Khan

MORE BYBayan Ahsanullah Khan

    maiñ tire Dar se ro nahīñ saktā

    gard-e-ġham dil se dho nahīñ saktā

    ashk yuuñ tham rahe haiñ mizhgāñ par

    koī motī piro nahīñ saktā

    shab mirā shor-e-girya sun ke kahā

    maiñ to is ġhul meñ so nahīñ saktā

    maslahat tark-e-ishq hai nāseh

    lek ye ham se ho nahīñ saktā

    kuchh 'bayāñ' tuḳhm-e-dostī ke sivā

    mazra-e-dil meñ bo nahīñ saktā

    main tere Dar se ro nahin sakta

    gard-e-gham dil se dho nahin sakta

    ashk yun tham rahe hain mizhgan par

    koi moti piro nahin sakta

    shab mera shor-e-girya sun ke kaha

    main to is ghul mein so nahin sakta

    maslahat tark-e-ishq hai naseh

    lek ye hum se ho nahin sakta

    kuchh 'bayan' tuKHm-e-dosti ke siwa

    mazra-e-dil mein bo nahin sakta

    RECITATIONS

    Fasih Akmal

    Fasih Akmal,

    Fasih Akmal

    main tere Dar se ro nahin sakta Fasih Akmal

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now