main tere pyar mein khoya hua pagal hota
maiñ tire pyaar meñ khoyā huā pāgal hotā
yā tirī jhiil sī āñkhoñ kā agar jal hotā
un meñ hotī mirī sūrat kabhī phūloñ kī mahak
'aks hotā kabhī paanī kabhī kājal hotā
maiñ banātā tujhe ik naḳhl-e-gulistāñ apnā
saaya hotā tire sahrā kā maiñ bādal hotā
khil uThe hote mire siine meñ vo sarv saman
baaġh hotā maiñ tire gaañv kā jangal hotā
Dhaal bantā maiñ zamāne kī havā se terī
tirī chādar kabhī bantā kabhī āñchal hotā
kabhī dar par kabhī raste kabhī man meñ tere
ghup añdheroñ meñ tire vāste mash'al hotā
tirī ḳhātir tirā 'altāf' bikhartā har-sū
tirī ḳhushbū ke liye kaash maiñ sandal hotā
main tere pyar mein khoya hua pagal hota
ya teri jhil si aankhon ka agar jal hota
un mein hoti meri surat kabhi phulon ki mahak
'aks hota kabhi pani kabhi kajal hota
main banata tujhe ek naKHl-e-gulistan apna
saya hota tere sahra ka main baadal hota
khil uThe hote mere sine mein wo sarw saman
bagh hota main tere ganw ka jangal hota
Dhaal banta main zamane ki hawa se teri
teri chadar kabhi banta kabhi aanchal hota
kabhi dar par kabhi raste kabhi man mein tere
ghup andheron mein tere waste mash'al hota
teri KHatir tera 'altaf' bikharta har-su
teri KHushbu ke liye kash main sandal hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.