main teri dushmani ko bhul gaya
maiñ tirī dushmanī ko bhuul gayā
aur tū dostī ko bhuul gayā
jab se kāñTe chune haiñ dāman meñ
phuul kī tāzgī ko bhuul gayā
is qadar zulmatoñ ne gherā hai
ishrat-e-raushnī ko bhuul gayā
jab achānak nazar paḌī is par
ḳhud ko maiñ do ghaḌī ko bhuul gayā
ḳhud-pasandī ke is zamāne meñ
aadmī aadmī ko bhuul gayā
hosh apnā bhī ab kahāñ mujh ko
har sitam har ḳhushī ko bhuul gayā
pī ke niklā jo mai-kade se maiñ
har ġham-e-zindagī ko bhuul gayā
main teri dushmani ko bhul gaya
aur tu dosti ko bhul gaya
jab se kanTe chune hain daman mein
phul ki tazgi ko bhul gaya
is qadar zulmaton ne ghera hai
ishrat-e-raushni ko bhul gaya
jab achanak nazar paDi is par
KHud ko main do ghaDi ko bhul gaya
KHud-pasandi ke is zamane mein
aadmi aadmi ko bhul gaya
hosh apna bhi ab kahan mujh ko
har sitam har KHushi ko bhul gaya
pi ke nikla jo mai-kade se main
har gham-e-zindagi ko bhul gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.