main titliyon ke hasin par banata rahta hun
main titliyon ke hasin par banata rahta hun
Saqib Tabassum Saqib
MORE BYSaqib Tabassum Saqib
maiñ titliyoñ ke hasīñ par banātā rahtā huuñ
na-jāne kaisā ye manzar banātā rahtā huuñ
kabhī ye vaqt nahīñ aatā lauT kar phir se
maiñ apne vaqt ko gauhar banātā rahtā huuñ
maiñ apnī aañkh meñ paanī sameT letā huuñ
to kāġhazoñ pe samundar banātā rahtā huuñ
jadīd daur kā mujh par asar huā kaisā
maiñ TuuTe shīshe se patthar banātā rahtā huuñ
main titliyon ke hasin par banata rahta hun
na-jaane kaisa ye manzar banata rahta hun
kabhi ye waqt nahin aata lauT kar phir se
main apne waqt ko gauhar banata rahta hun
main apni aankh mein pani sameT leta hun
to kaghazon pe samundar banata rahta hun
jadid daur ka mujh par asar hua kaisa
main TuTe shishe se patthar banata rahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.