main to aa gaya hun saqi tujhe milne ke bahane
maiñ to aa gayā huuñ saaqī tujhe milne ke bahāne
mujhe mai hī gar thī piinī to the sau sharāb-ḳhāne
tujhe kaun ai sitamgar hai jafā se rok saktā
kahe kaun bijliyoñ se na jalāo āshiyāne
tirī aañkh meñ nasha hai kahīñ baḌh ke mai se saaqī
tū bikher de nigāheñ to hoñ band bāda-ḳhāne
nahīñ qaid ab jagah kī diyā jab se tū ne Thukrā
tire dar kī thā jo Thokar haiñ ab us ke sau Thikāne
mire dost the ki dushman thī 'sadā' sabhī ko jaldī
maiñ abhī marā nahīñ thā ki sab aa ga.e uThāne
main to aa gaya hun saqi tujhe milne ke bahane
mujhe mai hi gar thi pini to the sau sharab-KHane
tujhe kaun ai sitamgar hai jafa se rok sakta
kahe kaun bijliyon se na jalao aashiyane
teri aankh mein nasha hai kahin baDh ke mai se saqi
tu bikher de nigahen to hon band baada-KHane
nahin qaid ab jagah ki diya jab se tu ne Thukra
tere dar ki tha jo Thokar hain ab us ke sau Thikane
mere dost the ki dushman thi 'sada' sabhi ko jaldi
main abhi mara nahin tha ki sab aa gae uThane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.