main to aisa koi manzar kabhi dekha na tha
maiñ to aisā koī manzar kabhī dekhā na thā
din Dhalā jaatā thā aur saaya koī lambā na thā
phir to us ke sāmne jaise koī rasta na thā
jītne vaalā kabhī yuuñ hausla haarā na thā
log to kahte the lekin maiñ bhī to andhā na thā
maiñ ne ḳhud dekhā hai mere dhaḌ pe bhī chehra na thā
roknā chāhā thā maiñ ne vo bhī ruk jaatā magar
ek jhoñkā thā havā kā vo Thahar saktā na thā
kitne hī kachche ghaḌe lahroñ ko yaad aane lage
sāhiloñ ke hoñToñ par aisā koī nauha na thā
god meñ maaoñ kī bachche rāt-bhar rote rahe
paas potoñ vāliyoñ ke kyā koī qissa na thā
main to aisa koi manzar kabhi dekha na tha
din Dhala jata tha aur saya koi lamba na tha
phir to us ke samne jaise koi rasta na tha
jitne wala kabhi yun hausla haara na tha
log to kahte the lekin main bhi to andha na tha
main ne KHud dekha hai mere dhaD pe bhi chehra na tha
rokna chaha tha main ne wo bhi ruk jata magar
ek jhonka tha hawa ka wo Thahar sakta na tha
kitne hi kachche ghaDe lahron ko yaad aane lage
sahilon ke honTon par aisa koi nauha na tha
god mein maon ki bachche raat-bhar rote rahe
pas poton waliyon ke kya koi qissa na tha
- Book : Bayazain Kho Gayee Hain (Pg. 79)
- Author : Sheen Kaaf Nizam
- Publication : Vag Devi Parkashan, Biconer (Rajisthan) (1997)
- Edition : 1997
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.