main to baiTha tha har ek shai se kinara kar ke
maiñ to baiThā thā har ik shai se kinārā kar ke
vaqt ne chhoḌ diyā dost tumhārā kar ke
baat dariyā bhī kabhī ruk ke kyā kartā thā
ab to har mauj guzartī hai ishārā kar ke
vo ajab dushman-e-jāñ thā jo mujhe chhoḌ gayā
mere andar hī kahīñ mujh ko saf-ārā kar ke
ik diyā aur jalāyā hai sahar hone tak
shab-e-hijrāñ tire naam ek sitārā kar ke
jab se jaagī hai tire lams kī ḳhvāhish dil meñ
rahnā paḌtā hai mujhe ḳhud se kinārā kar ke
dasht chhānegā tirī ḳhaak mohabbat se 'sa.īd'
ishq dekhegā tujhe saare kā saarā kar ke
main to baiTha tha har ek shai se kinara kar ke
waqt ne chhoD diya dost tumhaara kar ke
baat dariya bhi kabhi ruk ke kya karta tha
ab to har mauj guzarti hai ishaara kar ke
wo ajab dushman-e-jaan tha jo mujhe chhoD gaya
mere andar hi kahin mujh ko saf-ara kar ke
ek diya aur jalaya hai sahar hone tak
shab-e-hijran tere nam ek sitara kar ke
jab se jagi hai tere lams ki KHwahish dil mein
rahna paDta hai mujhe KHud se kinara kar ke
dasht chhanega teri KHak mohabbat se 'said'
ishq dekhega tujhe sare ka sara kar ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.