main to kahunga barmala ek diya bujha hua
maiñ to kahūñgā barmalā ek diyā bujhā huā
ishq na ho to ziist kyā ek diyā bujhā huā
aap ke saath bazm kī raunaqeñ sab chalī ga.iiñ
sub.h-e-firāq rah gayā ek diyā bujhā huā
paik-e-ḳhayāl daf.atan pahūñchā harīm-e-nāz meñ
aap hī aap jal uThā ek diyā bujhā huā
ahl-e-havas ne jā-ba-jā kitne diye bujhā diye
koī kahīñ jalā sakā ek diyā bujhā huā
jis meñ koī lagan na ho jis meñ koī taḌap na ho
aadmī us mizāj kā ek diyā bujhā huā
bazm-e-tarab kī yādgār raunaq-e-shab kī yādgār
ek hai sāz-e-be-sadā ek diyā bujhā huā
aḳhtar-e-sub.h kī qasam maiñ bhī huuñ sub.h kā naqīb
ek diyā jalā huā ek diyā bujhā huā
mahfil-e-zīst meñ bahut māh-o-nujūm zau-fishāñ
in meñ mirā shumār kyā ek diyā bujhā huā
main to kahunga barmala ek diya bujha hua
ishq na ho to zist kya ek diya bujha hua
aap ke sath bazm ki raunaqen sab chali gain
subh-e-firaq rah gaya ek diya bujha hua
paik-e-KHayal dafatan pahuncha harim-e-naz mein
aap hi aap jal uTha ek diya bujha hua
ahl-e-hawas ne ja-ba-ja kitne diye bujha diye
koi kahin jala saka ek diya bujha hua
jis mein koi lagan na ho jis mein koi taDap na ho
aadmi us mizaj ka ek diya bujha hua
bazm-e-tarab ki yaadgar raunaq-e-shab ki yaadgar
ek hai saz-e-be-sada ek diya bujha hua
aKHtar-e-subh ki qasam main bhi hun subh ka naqib
ek diya jala hua ek diya bujha hua
mahfil-e-zist mein bahut mah-o-nujum zau-fishan
in mein mera shumar kya ek diya bujha hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.